Doston , Aaj main phirse ek blog leke aa gaya hoon . Pichle blog mein maine aapko bataya tha ki aap GOOGLE se kaise paise kama sakte hain .
Lekin aaj main aapko bataunga ki aap amazon se ghar baithe kaise paise kama sakte hain ?
Doston , agar main aapse kahunga ki aap amazon se ghar baithe dher saare paise kama sakte hain to aapko yeh jhut lagega lekin yeh sach hai aur kai log iska faayada utha rahe hain .
Chaliye doston , blog ko shuru karte hain bina kisi deri ke :-
Doston , amazon se paise kamane ke liye aapko in saari cheezon ko karna padega :-
1. Amazon Affiliate Account :-
Is account ko banane ke liye aapko sabse pehle GOOGLE par [Amazon -Affiliate ] search karna hoga .
Uske baad aapke saamne is photo ki tarah ek link aayega . Aapko uspar click karna hoga . Click kare ke baad niche diye gaye photo ki tarah ek link open hoga lekin usse pehle aapko chrome ke setting me jaake desktop site mode ko select karna hoga .
Iske baad aapke saamne ek sign up option dikhega bilkul is picture ki tarah .Affiliate form fill karne ke baad aapko finish option par click karna hai.
Isi page se aap earning karenge . Uske liye diye gaye page ke search bar par click karke aap apne pasand ke products ko search kijiye jise aap promote karna chahte hai . Example ke liye aap niche diye gaye image se help le sakte hain.