Bloging karke Ghar Baithe Online Dher Saare Paise Kamaaye

Doston , aaj main phirse ek blog leke aap logon ke paas aa gaya hoo.
   Aaj mai aapko ye bataunga ki aap bhi ghar baithe online paise kaise kama sakte ho . 
     Doston main aapse koi jhoothi baatein nahi kar rha hoon. Aur main aapse pehle hi keh deta hoon aapko thodi mehnat jaroor karni padegi.
   
    Toh chaliye shuru karte hain bina kisi deri ke :-
  
      Doston , *bloging* uuse kehte hai jisme aap kuch topics ke baare me apni bhasha me apne website par likhe . 
    Lekin doston , isme aapko thodasa time lagega par main vaade ke saath kehta hun ki ek baar aapka 'blog' famous ho gaya toh uske baad aap ghar baithe acche paise kama sakenge .

   Doston , bloging karne ke bahut se tarike hain lekin unme aapko paise dene padenge . Jaise ki "wordpress".
Isiliye main aapke liye ek free blogging site laya hoon jisse aap bina kisi kharch karke dhero paise kama sakte hain.
    Is site ka naam hai *Blogger.com* aur yeh 'GOOGLE' ka product hai . 
     
  Chaliye bloging karna sikhte hain :-
  • Sabse pehle aap kisi bhi browser par jaake "blogger.com" search kare.

  • Uske baad aap us link ko open kare aur uske baad aapko wahan par ek "create your blog" ka option dikhega. Aapko uspar click karna hain.

  • Click karne ke baad wahan aapko apna Google account aur password dalna hoga.

  • Password dalne ke baad aap apne blog ka title dijiyega.

  • Title bharne ke baad aapko apne iksha ke anusaar apne website ka naam rakhna hoga.

  • Apne website ka naam daalne ke baad apko apne blog ka naam daalna hoga.

  • Blog ke (+) par click karke aap apna blog apne 'topics' ke hisaab se bana sakte h.

Yeh to baat hui ki aap blog kaise bana sakte hain , ab baat karte hain ki aap isse paise kaise kamaenge?
   
    Uske liye :- 
  • Aapko *Google Adsense* ke liye apply karna hoga . Uske liye aap GOOGLE par "Google Adsense" search kare .

  • Search karne ke baad aaye hue link par click kare aur puche gaye saari details ko bhar de.



  • Uske baad Google aapke blog ko check karega aur phir woh aapke blog par *advertisement* dikhayega jisse aap paise kamaenge.
  • Aap apne blogs ko zyada-se-zyada share karein jisse ki logon ko aapke blog ke baare mein pata chale .
Lekin Doston , aapko apne blog  par kam-se-kam [20-25] anokhe blogs likhne honge . Aap apne blogs kisi bhi bhasha mein likh sakte hain. In saari cheezon ke baad mai daave ke saath kehta hoon ki aap bhi ghar baithe paise kama sakenge.

               Doston main aasha karta hoon ki mera yeh blog aapko pasand aaya hoga aur aapke kisi kaam aaya hoga.
     Agle blog mein main aapko "online-earning" ka ek aur tareeka bataunga. Agar aapko ispar ek blog chahiye toh mujhe comment karke bataiye.
        
             OK friends, Bye
      Milte hain Agle Blog mein.
            [Always keep smiling]
                ☺️🙂☺️🙂☺️🙂☺️🙂