Doston , is Covid-19 ke chalte bahut se logon ko online aana pada. Chahe woh online-working ho ya phir online-studying. In sabhi ke liye aapko ek accha laptop chahiye jo ki features mein bhi accha ho aur aapke budget ke upar na ho.
In sabhi baton ko dhyan mein rakhte hue maine yeh blog "A Laptop under ₹17,990" from a non-chinise brand" laya hoon.
Toh Chaliye shuru karte hain bina kisi deri ke :-
Doston, main aaj jis laptop ke baare mein baat karne jaa raha hoon us company ka naam AVITA hai. Yeh ek American Company hai. AVITA ne pichle kuch mahino mein apne bahut se laptops launch kiye hai aur haal hi mein ek laptop launch kiya hai jiska naam AVITA Essential hai aur iski keemat aapke hosh uda dega. Doston, is laptop ki keemat ₹17,990 hai par kuch bank offers ke saath yeh aapko ₹15,000 ka padega.
Aaiye dekhte hain ki AVITA Essential ke features kya hain :-
- Processor :- Celeron N4000 processor, 1.10 GHz base processor speed, 2.60 GHz Max speed
- Operating System :- Pre-loaded Windows 10 Home in S Mode.
- In the box :- Laptop, AC Adapter, User Guide, Manuals
- Display :- 14-inch screen (1920X1080) FHD display.
- Connectivity :- 802.11 b/g/n/ac Wi-Fi and Bluetooth 4.0
- Memory & Storage :- 4 GB DDR4 RAM with intel integrated UHD Graphics | Storage: 128 GB SSD
- Design :- Thin and light Laptop| Laptop weight 1.37kg |Aluminum Body.
- Battery Life :- Upto 6 Hours as per Mobile Mark.
- Ports and Optical Drive :- USB 3.0 Type A x 2 , Full Size HDMI x 1, Micro SD Card Reader, |No Optical Drive
- Warranty :- Yeh AVITA laptop par 18+6 mahine ki onsite domestic warranty milti hai.