Doston aaj ke samay me hum sabhi ko *smartphones* bahut pasand hai ya yun kahe ki yeh hamari zaroorat ban chuki h . Lekin kya aapko pata h ki aapko kaise smartphone ki zaroorat h kyonki market me itni saari companies ke itne saare phones available h aur sabhi ke prices alag - alag hai .
Aaj maine aapki isi confusion ko dur karne ke liye yeh blog likha h .
"Toh chaliye shuru karte hai bina kisi deri ke ."
1. DESIGN :-
Doston agar aap phone Kharidte hai to sabse pehle aapki nazar phone design par padti hai . Aap koshish karte h ki aapka phone design me sabke phones se alag ho.
Toh aap koshis kare ki aapke phone ka 'back' *glass* ka bana hua ho kyonki glass-back phones ko mazbooti deti h aur plastics ke muqable apke glass-back wale phones par scratch bahut kam aati hain jisse ki aapka phone bahut khoobsurat lagta hai .
Isiliye hamesha koshish kare ki kabhi bhi aap phone kharide to uska back *glass* ka ho.
Yeh picture ek glass-back ke phone ka hai . Aap isse ek idea le sakte hai.
2. DISPLAY :-
Doston , design ke baad kisi phone ka ek important feature hai uska display kyonki aap jaise hi phone ko switch-on karenge to sabse pehle aaki najar phone ke display par padegi . Phone ka display jitna acha hoga aapko phone me vedios , movies aur baaki sabhi cheeejo ko chalane me maza aayega .
Agar aap smartphone ke liye sabse acche display ke baare me sochen to woh *super -Amoled* hai . Lekin yeh thoda mehnga hota h jisse aapke phones ki bhi price mehngi ho jaati hai . Isiliye aap koshish karen ki aapke phone ka display kam-se-kam *full-HD (1080p)* ho jisse aap apne phone ke display ka pura maza utha paaye .
3. BATTERY :-
Doston , kisi smartphone ki dhadkan uski *battery* hoti hai . Aap hi sochiye ki aap apne phone kuch kaam kar rhe ho aur aapke phone ki battery khatm ho jaaye toh aapko kaisa lagega ? Isi liye aap kabhi koi smartphone kharide to koshish kare ki uski batter-capacity zyada ho .
Aapke phone men kam-se-kam *4000mah* ho jisse aap apna kaam bina ruke kar sake .
4. PROCESSOR :-
Doston , jaise battery phone ki dhadkan hoti hai waise hi *processor* phone ka dil hota hai . Aap apne phone ko koi command dete hai aur woh use kitni jaldi karega yeh saari cheezen uss phone ke processor par nirbhar karta hai. Isiliye aap koshish kare ki aap koi bhi phone kharide to usme processor accha laga ho .
Iskeliye aap *Snapdragon* processors ke phone le sakte hai kyonki iske processors aapke phone ko heat nahi hone denge aur phone ki life badhate hai .
Doston agar aapko in saari topic se related phones chahiye toh mai kuch phones ka link de deta hoon .
1. Samsung m21 :-
Price :- Rs 13,990
Purchase link :- [https://amzn.to/2I2iorR]
2. Realme 6 :-
Price :- Rs 14,500
Purchase link :-
Ok friends . Bye .
*Aasha hai ki aapko mera yeh blog pasand aaya hoga .*
Bye. Always keep smiling ☺️🙂☺️🙂