Doston, aaj yani 3 November ko Micromax ne apne 'In' branding ke saath 2 phones ko launch kar diya hai jiske baare mein mai aapko saari jankari de deta hoon.
Toh Chaliye blog ko shuru karte hain bina kisi deri ke :-
1. Micromax 'In 1b' :-
Doston, yeh Micromax ki taraf se launch hone waala pehla phone hai jisko Micromax ne budget-category mein launch kiya hai.
Aaiye jaante hain iske features or price ke baare mein :-
- Display :- Isme aapko ek 6.52'inch ka Hd+ ka display milta hai.
- Processor :- Isme aapko Mediatek Helio G35 ka processor milta hai jo ki ek budget phone ke liye bahut hi acha hai.
- Battery :- Isme aapko 5000mah ki battery milti hai 10watt ke charging support ke saath.
- Ram & Storage :- Isme aapko 2Gb Ram ke saath 32GB storage aur 4GB Ram ke saath 64GB storage ka option milta hai.
- Camera :- Isme aapko 13MP + 2MP ka dual back camera aur 8MP ka front camera milta hai.
- Additional features :- Isme aapko fingerprint scanner aur face unlock bhi available hai.
- System UI :- Doston, is phone mein aapko pura stock-android milta hai jiska matlab aapko phone Kharidte Samay phone mein koi bhi Chinese apps pre-installed nahi milenge.
- Android updates :- Doston , Micromax ne promise kiya woh is phone me 2 saal tak Android updates & Security updates milenge.
4Gb/64Gb - ₹ 7,999
2. Micromax 'In Note 1' :-
Doston, yeh Micromax ki taraf se launch hone waala doosra phone hai jisko Micromax ne mid-range-category mein launch kiya hai.
Aaiye jaante hain iske features or price ke baare mein :-
- Display :- Isme aapko ek 6.67'inch ka FHd+ ka IPS display milta hai.
- Processor :- Isme aapko Mediatek Helio G85 milta hai jisme aap acchi gaming kar sakte hain.
- Battery :- Isme aapko 5000mah ki battery ke saath 18watt ke fast charging ka support milta hai.
- Ram & Storage :- Isme aapko 4GB Ram ke saath 64Gb storage aur 4Gb Ram ke saath 128Gb storage ka option milta hai.
- Camera :- Doston , isme aapko 48MP ( main camera ) + 5MP ( ultra wide angle camera ) + 2MP ( macro sensor ) + 2 MP ( depth sensor ) aur 16MP puch hole selfie camera milta hai.
- Additional features :- Isme aapko fingerprint scanner aur face unlock bhi milta hai.
- System UI :- Doston, is phone mein aapko pura stock-android milta hai jiska matlab aapko phone Kharidte Samay phone mein koi bhi Chinese apps pre-installed nahi milenge.
- Android updates :- Doston , Micromax ne promise kiya woh is phone me aapko 2 saal tak Android updates & Security updates milenge.
Price :- 4Gb/64Gb - ₹ 10,999
4Gb/128Gb - ₹ 12,499
Doston , agar aapko yeh blog pasand aaya ho toh aap website par jaakar bell notification ko click kar sakte hain jo ki aapko aisa dikhega :-
jisse ki aapko mere future blogs ke notification mile.