आ गया "FAU-G" ! Made In India PUB-G !🔥🔥🔥🔥

 Hello doston , kaise ho aap log . Mai aaj phir se ek naya blog lekar aa gaya hoon . 

Jaisa ki Pubg India mein ban ho chuka hai aur aap mein se kai log sochte honge ki kash koi Indian game developer ek made-in-India game lekar aaye jise humlog proud hokar khel sake aur keh sake ki yeh ek Indian game hai. Isi sab ko lekar N-CORE games ke developers ek game lekar aane waale hain jiska naam FAU-G hai. Is baat ko khud Indian actor Akshay Kumar ne confirm kiya hai. Unhone is game ka ek poster apne social media par share kiya tha jo ki aap niche dekh sakte hain.


Doston , chaliye baat karte is game ke features ke baare mein :-

  • Is game mein aapko Galwaan-Ghati ke upar aadharit ek map milega.  
  • N-CORE Games ke CEO Mr. Vishal Gondal ne kaha hai ki yeh ek shooting game hoga par aane waale kuch mahino mein woh isme Pubg ki tarah multiplayer mode lekar aayenge
  • Doston , is game se jo bhi profit hoga woh Bharat ke Veer Fund mein jaayega. Is fund ki madad se Shahid jawaano ke ghar mein paise jaayenge jo ki ek bahut hi acchi shuruaat hai
Jaante hain ki yeh FAU-G kab tak launch hoga ?

Doston , jab Akshay Kumar ji ne game ka poster share kiya tha toh N-CORE Games ke CEO Mr Vishal Gondal ne kaha tha ki woh ise October ke last tak launch karenge. Lekin ab sources ki maane toh "FAU-G" January mein launch hoga aur yeh 100% confirm news hai. Woh kehte hain na ki "Der aaye durust aaye". 

      Doston , kal hi "FAU-G" ka ek teaser trailer aaya hai aur ise khud Akshay Kumar ji ne apne social media account par share kiya hai.

Mai uss vedio ko niche share kar deta hoon. Aap is vedio ko dekhen aur mujhe bataaye ki aapko is game ka kitna intezaar hai :-


Doston , maine aaj aapko sirf is game ke launch aur iske kuch features ke baare mein bataya. Jab yeh game launch hoga toh main aapko bata dunga ki yeh game kaisa hai aur isme aapko kya-kya modes aur features milenge

Mujhe aasha hai ki aapko mera yeh blog accha laga hoga. Aise hi aur bhi blogs padhne ke liye aap niche diye gaye link par click kar sakte hain. ( https://khojotechko.blogspot.com/?m=1). 

               Always keep Smiling
             🙂☺️🙂☺️🙂☺️🙂☺️🙂