"PUBG" क्यों ban हुआ ? और क्या "PUBG unban" हो सकता है ? 🧐🧐🤔🤔


 Doston , kaise ho aap log . Mai aaj phir se ek naya blog lekar aa gaya hoon . Mai aaj aapko bataunga ki PUBG India me ban kyun hua ?

Chaliye shuru karte hain bina kisi deri ke :-

Doston , jaisa ki aap log jante honge humare Prime Minister (Mr. Narendra Modi ji ) ne 2nd September 2020 ko PUBG ko India mein ban kiya tha . Iske piche kai saare reasons the . 

Aaiye dekhte hain ki kin कारणों ke wajah se India mein  PUBG ban hua tha. 

  1. India-China War :-  Doston , aap sabhi jaante honge ki border pe humaare jawano ne China ke saath kya haal kiya tha. Isi wajah se PUBG India mein ban hua tha. Par aap log kahenge ki PUBG ek Korean Company hai lekin PUBG ke mobile version ko banaane Tencent ne madad ki thi jo ki China ki company hai. Chinese Connection hone ke wajah se PUBG India mein ban kiya gya tha. 
  2. Security :-  Doston , China se war ke baad China kisi bhi aap ke jariye jassosi na kare.  iske chalte bhi humaare Government ne PUBG aur 118Chinese apps ko ban kiya tha. 
  3. Death - Rate :- Doston , PUBG ke wajah se kitne bachon ne apni jaan di hai. Unko is game ka bahut hi kharab nasha tha jo ki unke future aur unke health ke liye bahut kharab hai. Kuch bachon ne toh apne maa - baap ke bahut saare  paise bhi isme kharch kiye the. Yeh bhi ek reason hai PUBG India mein ban hua. 
  4. Doston aur bhi kai saare reasons the PUBG ko ban karne ke. 

Chaliye dekhte hain ki kya 
PUBG Unban hoga  :-

Doston , aap mein se kuch log aaj bhi PUBG khel paa rahe honge lekin aapko main bata dun humaare Government ne abhi ise Unban nahi kiya hai. Aur mujhe yeh bhi lagta hai ki PUBG unban hi rahega kyonki agar Anti - China ka problem hota toh PUBG  kab ka unban ho jaata aur mai aisa isliye keh raha hoon kyonki ban ke turant baad  PUBG ne apne saare networks  Tencent se hata liye the. Iske unban hone ke chances mujhe naa ke barabar hi lag rahe hain lekin kuch bhi ho sakta hai.  PUBG bhi India mein kai saare company ko apna partner banane ke koshish mein laga hua hai. Dekhte hain ki PUBG ka India mein Future kya hota hai. 
Niche is vedio ko pura dekhen :-


Aapko kya lgta haiPUBG unban hoga ya nahi. Comments me bataye

Mujhe aasha hai ki aapko mera yeh blog laga hoga. Aise hi aur bhi blogs padhne ke liye aap niche diye gaye link par click kar sakte hain. ( https://khojotechko.blogspot.com/?m=1). 

               Always keep Smiling
             🙂☺️🙂☺️🙂☺️🙂☺️🙂