Hello Doston , kaise ho aap log . Mai aaj phir se ek naya blog lekar aa gaya hoon . Mai aaj aapko bataunga ki OPPO ne apne TV's launch kiye unke features kya hai , kya price hai aur kya woh India me launch honge aur kabtak launch honge ?
Chaliye shuru karte hain bina kisi deri ke :-
Doston , jaisa ki aap log jaante honge ki OPPO ek smartphone nirmata company hai aur uske smartphone bahut hi acche hote . OPPO ke Smartphones India mein bhi bahut famous hai. OPPO ne haal mein hi apne 2 TV's CHINA mein launch kiye hain.
Aaiye dekhte hain OPPO ke TVs ke kya features hai aur kya price hai :-
1. OPPO Smart TV S1 :-
Doston , yeh OPPO ke taraf se launch hone waala pehla T.V. hai. Iski keemat CNY 7,999 ( roughly Rs 87,400 ) hai. Yeh thoda mehnga T.V. hai lekin Yeh kuch anokhe aur behtareen features ke saath aataa hai :-
- Doston , isme aapko 120Hz ka display milta hai jo ki aapko kisi T.V. mein nahi milta hai.
- Isme aapko pop-up camera milta hai jiski madad se aap T.V. se hi vedio-calling kar sakte hain.
- Is T.V. mein aapko ek 65 inchQLed display milta hai jisse aapko movies dekhne mein maza aa jayega.
- Isme aapko 8.5 GB Ram aur 128 GB storage milta jo aaj tak ke kisi T.V mein nahi milta.
- Yeh 18 speakers ke saath aata hai jo ki 85Watts ka sound output deta hai.
- Doston , inme aapko 2 screen sizes milte hain 55'inch aur 65'inch. Dono TVs 4k display ke saath aate hain.
- Inme aapko ek optional external camera milta hai jiski madad se aap vedio-chat kar sakte hain.
- Inme aapko 2GB Ram aur 32GB storage milta hai.
- Inme aapko 2 speakers unit milte hain jo ki 24Watts ka sound output dete hain.
Aap in TVs ka vedio bhi dekh sakte hain :-