Hello Doston , kaise ho aap log . Mai aaj phir se ek naya blog lekar aa gaya hoon .
Doston, mai jaanta hoon ki aap me se kai log Chinese Smartphone companies ke baare mein nahi jaante honge. Aapko lagta hoga ki aapne jo Smartphone karida woh Indian hai ya kisi aur desh ki company ka hai lekin yeh sab jhooth hai. Mai aaj aapko bataunga ki koun sa Smartphone brand kis desh ka hai.
Chaliye shuru karte hain bina kisi deri ke :-
Chinese Smartphone companies:-
1. Xiaomi :-
Doston , jaisa ki aap log jaante honge ki Xiaomi ek Chinese company hai. Iske CEO 'lei Jun' hai aur yeh company 6 April 2006 ko shuru hui thi. Doston, Xiaomi ne jab se made-in-India Smartphones banana shuru kiya tab se sabhi ko lagne laga ki yeh ek Indian company hai lekin yeh ek Chinese company hai.
2. OPPO :-
Doston , OPPO ek India ki bahot famous Smartphone company hai aur yeh bhi ek Chinese company hai. Isko 'Tony Chen' ne 2004 mein khoja tha aur 2006 mein yeh China ki sabsi badi Smartphone companies me se ek ho gayi. OPPO India mein 2014 ko launch hua tha. Aur aaj tak iske phones India mein khoob bikte hai. Isi ke 2 sub-brands hain:- (i) Realme (ii) OnePlus. Yeh dono hi aaj ke samay mein India ke top smartphone brands me se ek hain aur yeh dono bhi Chinese brands hain.
3. Vivo :-
Doston , Vivo ek India ki bahot hi famous company hai. Yeh company apne apne acche camera-smartphones ke liye jaana jaata hai. Iske Shen Wei ne 2009 mein khoja tha. Yeh bhi ek Chinese company hai.
Korean Smartphone companies:-
Samsung :-