Apple "i-phone 12 series" India में कितने मे लॉन्च हुए हैं और America में में कितने मे लॉन्च हुए हैं ? 💸💸💸 जानकर चौंक जाएंगे। 😯😲🔥🔥

 


Hello Doston , kaise ho aap log . Mai aaj phir se ek naya blog lekar aa gaya hoon .

  Doston , Apple ne apne i-phone 12 series India mein launch kardiye hain. Lekin inki keemat jaankar aapke hosh ur jaayenge. Aur itna hi nahi agar aap janenge ki  i-phone 12 series America mein kis keemat par launch hue hain toh aapke pairon ke neeche se zameen nikal jayegi .

Chaliye shuru karte hain bina kisi deri ke :-


1. i-phone 12 mini :-


     Doston , yeh Apple ki taraf se launch hone waale 12 series ka sabse sasta i-phone hai. Doston yeh America mein $699 keemat par launch hua  hai jisko agar hum Indian Rupees mein badlenge toh woh lagbhag Rs 51,500 ke aas-pass hota hai. Par Apple ne ise India mein Rs 69,900 mein launch kiya hai jo ki American keemat se Rs 18,500 zyada hai. Itne mein ek acha samsung ka phone aa jata hai. Aur itna hi nahi Apple ne is saal box mein se charger aur earphones bhi nikaal diye hain. Matlab ki aapko sirf phone aur cable milenge
  
2. i-phone 12  :-


      Doston , yeh Apple ki taraf se launch hone waala 2nd iPhone hai. Doston , yeh America mein $799 ke keemat par launch hua hai jisko agar hum Indian Rupees mein badlenge toh woh lagbhag Rs 59,000 hota hai. Par Apple ne ise India mein Rs 79,990 mein launch kiya hai jo ki American keemat se Rs 19,000 zyada hai. Aur isme bhi iphone 12 mini ki tarah aapko box mein sirf phone aur cable milenge. 

3. i-phone 12 Pro  :- 

    Doston , yeh Apple ke taraf se launch hone waala 3rd iPhone hai. Doston , yeh America mein $999 ke keemat par launch hua hai jisko agar hum Indian Rupees mein badlenge toh woh lagbhag Rs 73,609 hota hai. Par Apple ne ise India mein Rs 1,19,000 mein launch kiya hai jo ki American keemat se Rs 45,000 zyada hai.
             Aur isme bhi aapko box mein sirf phone aur cable milenge

4. i-phone 12 Pro Max  :- 


     Doston , yeh Apple ke taraf se launch hone waala 4th aur last iPhone hai. Doston , yeh America mein $1,099 ke keemat par launch hua hai jisko agar hum Indian Rupees mein badlenge toh woh lagbhag Rs 81,000 hota hai. Par Apple ne ise India mein Rs 1,29,000 mein launch kiya hai jo ki American keemat se Rs 38,000 zyada hai
             Aur isme bhi aapko box mein sirf phone aur cable milenge
 
 Doston, mai koi Apple ke khilaaf nahi hoon.  lekin Apple ne jis tareeke se India mein Iphones ke price rakhe hain woh galat hai. Kyonki India mein jitney mein aap i-phone 12 mini lijiyega utne mein aapko America mein i-phone 12 mil jaayega. Waise hi i-phone 12pro India mein aapko Rs 45,000 zyada mein milenge. Main jaanta hoon ki custom duty charges bhi lagte hain lekin uske wajah se bhi kisi Smartphone ke prices itne nahi badhte
Agar aapko in saare i-phones ke features ke baare mein janana hai to aap mujhe comment mein bata dijiyega mai uspar ek blog bana dunga
   
 Mujhe aasha hai ki aapko mera yeh blog laga hoga. Aise hi aur bhi blogs padhne ke liye aap niche diye gaye link par click kar sakte hain. ( https://khojotechko.blogspot.com/?m=1). 

               Always keep Smiling
             🙂☺️🙂☺️🙂☺️🙂☺️🙂